Jaane Kya Hoga Rama Re Lyrics - Kaante


Jaane Kya Hoga Rama Re song belongs to the Sanjay Gupta's film Kaante starring Amitabh Bachchan, Sanjay Dutt, Suniel Shetty and Mahesh Manjrekar. Jaane Kya Hoga Rama Re Lyrics are penned by Dev Kohli while this track is sung by Anand Raj Anand, Shaan, Sanjay Dutt, Sudesh Bhonsale and Zubin. Kaante is a 2002 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Sanjay Dutt and Suniel Shetty.

Jaane Kya Hoga Rama Re Lyrics - Kaante

Jaane Kya Hoga Rama Re Song Detail


Song: Jaane Kya Hoga Rama Re
Album: Kaante (2002)
Singer: Anand Raj Anand, Shaan, Sanjay Dutt, Sudesh Bhonsale, Zubin
Musician: Anand Raj Anand
Lyricist: Dev Kohli
Star Cast: Amitabh Bachchan, Sanjay Dutt, Suniel Shetty etc.

Jaane Kya Hoga Rama Re Lyrics

Part 1:

Collar ko thoda sa upar chadha ke
Cigarette ke dhuyein ka chhalla bana ke
Collar ko thoda sa upar chadha ke
Cigarette ke dhuyein ka chhalla bana ke
Sochna hai kya jo hona hai hoga
Chal pade hain fiqr yaar dhuyein mein udaa ke
Jaane kya hoga Rama re?
Jaane kya hoga Maula re?
Jaane kya hoga Rama re?

Jaane kya hoga Maula re?

Dollar bhi chaahiye inhein, Pound bhi chaahiye
Sone ke sikkon ka sound bhi chaahiye
Hey.. banda yeh dheeth hai yeh kuchh nahin jaanta
Banda yeh dheeth hai yeh kuchh nahin jaanta
Isko jo mangta to maal paani mangta
Sochna hai kya jo hona hai hoga
Chal pade hain fiqr yaar dhuyein mein udaa ke
Jaane kya hoga Rama re?
Jaane kya hoga Maula re?
Jaane kya hoga Rama re?
Jaane kya hoga Maula re?

Apne begaane yeh sab chhod aaye
Pyaar ki rasmon ko yeh tod aaye
Anjane raaston ke vaaste yeh
Zindagi se bhi munh mod aaye
Sochna hai kya jo hona hai hoga
Chal pade hain fiqr yaar dhuyein mein udaa ke
Jaane kya hoga Rama re?
Jaane kya hoga Maula re?
Jaane kya hoga Rama re?
Jaane kya hoga Maula re?

Khud pe bharosa hai, khud pe yakeen hai
Kar lenge kaam chaahe jitna sangeen hai
Pakke hain inke jo dil mein iraade
Hai aasman inka inki zameen hai
Sochna hai kya jo hona hai hoga
Chal pade hain fiqr yaar dhuyein mein udaa ke
Jaane kya hoga Rama re?
Jaane kya hoga Maula re?
Jaane kya hoga Rama re?
Jaane kya hoga Maula re?

Part 2:

Socha nahin tha taqdeer yahan laayegi
Manzil pe aate hi jaan chali jaayegi
O yeh to Sikandar ne bhi nahin tha socha
Aane se pehle kushi laut jaayegi
Humne socha tha kya aur kya se kya hua
Ja rahe hain aaj yeh zamane ko bata ke
Yeh kya ho gaya Rama re?
Yeh kya ho gaya Maula re?
Yeh kya ho gaya Rama re?
Yeh kya ho gaya Maula re?

Tera kusoor tha ya mera kusoor tha
Tera guroor tha ya mera guroor tha
Rabba main itna bura nahi hota
Tu agar bewafa nahin hota
Itna bata mujhe kya mila tujhe
Gham ke yeh kaante meri raahon mein bichha ke
Yeh kya ho gaya Rama re?
Yeh kya ho gaya Maula re?
Yeh kya ho gaya Rama re?
Yeh kya ho gaya Maula re?