Jaanam Jaanam Tera Mera Pyar Naya Hai Lyrics - Sawan Ko Aane Do


Jaanam Jaanam Tera Mera Pyar Naya Hai Lyrics from the movie Sawan Ko Aane Do is sung by Yesudas, its music is composed by Rajkamal and lyrics are written by Fauq Jaami. Sawan Ko Aane Do is a 1979 Hindi movie starring Arun Govil, Zarina Wahab and Reeta Bhaduri.

Jaanam Jaanam Tera Mera Pyar Naya Hai Lyrics - Sawan Ko Aane Do

Jaanam Jaanam Tera Mera Pyar Naya Hai Song Detail


Song: Jaanam Jaanam Tera Mera Pyar Naya Hai
Album: Sawan Ko Aane Do (1979)
Singer: Yesudas
Musician: Rajkamal
Lyricist: Fauq Jaami
Star Cast: Arun Govil, Zarina Wahab, Reeta Bhaduri etc.

Jaanam Jaanam Tera Mera Pyar Naya Hai Lyrics

Jaanam jaanam!
Jaanam jaanam tera mera pyar naya hai
Geet purana saaz naya hai
Jaanam jaanam tera mera pyar naya hai
Geet purana saaz naya hai, jaanam jaanam

Aaj ki har ghadi
Pyar bhare roop ka nikhaar leke aayi hai
Raat ki chandni
Zindagi mein ek nayi bahaar leke aayi hai
Kudrat ne khole hain aakhon ke raaz naye

Jaanam jaanam tera mera pyar naya hai
Geet purana saaz naya hai, jaanam jaanam

Jharnon mein aaj naya geet hai
Geeton mein pyar ka sangeet hai
Jharnon mein aaj naya geet hai
Geeton mein pyar ka sangeet hai
Mehki fiza ne, chanchal hawa ne
Mehki fiza ne, chanchal hawa ne
Tujh hi se seekhe hain naaz-o-andaz naye
Jaanam jaanam tera mera pyar naya hai
Geet purana saaz naya hai, jaanam jaanam