Hoke Mayus Tere Dar Se Lyrics - Laila Majnu


Hoke Mayus Tere Dar Se Lyrics from the movie Laila Majnu is sung by Mohammad Rafi, Aziz Nazan, Shankar Shambhu and Ambar Kumar, its music is composed by Madan Mohan and lyrics are written by Sahir Ludhianvi. Laila Majnu is a 1976 Hindi movie starring Rishi Kapoor, Ranjeeta and Danny Denzongpa.

Hoke Mayus Tere Dar Se Lyrics - Laila Majnu

Hoke Mayus Tere Dar Se Song Detail


Song: Hoke Mayus Tere Dar Se
Album: Laila Majnu (1976)
Singer: Mohammad Rafi, Aziz Nazan, Shankar Shambhu, Ambar Kumar
Musician: Madan Mohan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Rishi Kapoor, Ranjeeta, Danny Denzongpa etc.

Hoke Mayus Tere Dar Se Lyrics

Hoke mayus tere dar se sawali na gaya
Jholiyan bhar gayin sabki koi khali na gaya
Hoke mayus tere dar se sawali na gaya
Na gaya, na gaya
Jholiyan bhar gayin haan haan
Jholiyan bhar gayin haan haan
Jholiyan bhar gayin sabki koi khali na gaya
Jholiyan bhar gayin, bhar gayin
Jholiyan bhar gayin sabki koi khali na gaya
Khali na gaya, khali na gaya

Jholiyan bhar gayin sabki koi khali na gaya
Jholiyan bhar gayin

Tere darbaar mein jo bhi pareshan hoke aaye
Haan haan pareshan hoke aaye
Duayein de ke jaaye aur muradein leke jaaye
Haan haan muradein leke jaaye
Tu rehmat ka farishta hai
Tu ujde ghar basaye
Tu roohon ka maseeha hai
Tu har gham ko mitaaye
Ehal-e-dil, ehal-e-mohabbat pe inayat hai teri
Toone doobon ko ubhara hai Yeh shoharat hai teri
Anokhi shaan teri, niraali aan teri
Aahe anokhi shaan teri, niraali aan teri
Tu masti ka kazana, tera har dil deewana
Tu masti ka kazana, tera har dil deewana
Tu mehboob-e-Khuda hai
Tu har gham ki dawaa hai
Tabhi to sab kehte hain
Kehte hain, kehte hain

Hoke mayus tere dar se sawali na gaya
Hoke mayus tere dar se sawali na gaya
Jholiyan bhar gayin sabki koi khali na gaya
Jholiyan bhar gayin sabki koi khali na gaya
Jholiyan bhar gayin

Jamal-e-yaar dekha hai, jamal-e-yaar dekha
Aahe jamal-e-yaar dekha hai
Rukh-e-dildar dekha hai, rukh-e-dildar dekha
Aahe rukh-e-dildar dekha
Kisika naazni jalwa sar-e-darbar dekha
Tamannaon ke sehra mein hasin gulzar dekha
Aaha hasin gulzar dekha
Haan jabse dekha hai tujhe
Dil ka ajab aalam hai
Jaan-o-iman bhi agar nazra karoon to kam hai
Tha jo sun-ne mein aaya, tujhe waisa hi paya
Tha jo sun-ne mein aaya, tujhe waisa hi paya
Tu armanon ka sahil, tu ummeedon ki manzil
Tu armanon ka sahil, tu ummeedon ki manzil
Tu har bigdi banaaye, tu bichhdon ko milaaye
Tabhi to sab kehte hain
Kehte hain, kehte hain

Hoke mayus tere dar se sawali na gaya
Jholiyan bhar gayin, aji haan
Jholiyan bhar gayin sabki koi khali na gaya
Jholiyan bhar gayin