Hamein To Loot Liya Milke Husn Walon Ne Lyrics - Al Hilal


Read & sing along Hamein To Loot Liya Milke Husn Walon Ne Lyrics from the movie Al Hilal - 1958 which is sung by Ismail Azad Qawwal. You can also get other songs & lyrics from Al Hilal. Al Hilal is a 1958 Hindi movie starring Mahipal, Shakeela and Hiralal.

Hamein To Loot Liya Milke Husn Walon Ne Lyrics - Al Hilal

Hamein To Loot Liya Milke Husn Walon Ne Song Detail


Song: Hamein To Loot Liya Milke Husn Walon Ne
Album: Al Hilal (1958)
Singer: Ismail Azad Qawwal
Musician: Bulo C. Rani
Lyricist: Shevan Rizvi
Star Cast: Mahipal, Shakeela, Hiralal etc.

Hamein To Loot Liya Milke Husn Walon Ne Lyrics

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne

Nazar mein shokhiyan
Aur bachpana shararat mein
Adayein dekh ke hum
Phans gaye mohabbat mein

Hum apni jaan se jayenge
Jinki ulfat mein

Yakeen hai ke na aayenge
Woh hi maiyyat mein

Khuda sawal karega
Agar qayamat mein
To hum bhi keh denge
Hum lut gaye sharafat mein

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne

Wahin wahin pe qayamat ho
Woh jidhar jaayein Jhuki jhuki huyi nazron se
Kaam kar jaayein

Tadapta chhod dein raste mein
Aur ghuzar jayein
Sitam to yeh hai ke dil le lein
Aur mukar jayein

Samajh mein kuchh nahi aata
Ke hum kidhar jayein
Yahi iraada hai yeh keh ke
Hum to mar jayein

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne

Wafa ke naam pe mara hai bewafaon ne
Ke dum bhi humko na lene diya jafaon ne
Khuda bhula diya in husn ke khudaon ne
Mita ke chhod diya ishq ki khataon ne
Udaye hosh kabhi zulf ki hawaon ne
Haya ne naaz ne loota kabhi adaaon ne

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne

Hazaron lut gaye nazaron ke ek ishare par
Hazaron beh gaye tufan banke dhaare par
Na inke vaadon ka kuchh theek hai
Na baaton ka
Fasana hota hai inka hazar raaton ka
Bohat haseen hai waise to bholpan inka
Bhara hua hai magar zehar se badan inka
Yeh jisko kaat lein paani woh pee nahi sakta
Dawa to kya hai dua se bhi jee nahi sakta

Inhi ke maare huye hum bhi hain zamane mein
Hain char lafz mohabbat ke is fasane mein

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne

Zamana inko samajhta hai nek aur masoom
Magar yeh kaise hain
Kya hain kisi ko kya malum
Inhein na teer na talwar ki zaroorat hai
Shikaar karne ko kaafi nigahein ulfat hain
Haseen chaal se dil payemaal karte hain
Nazar se karte hain baatein kamaal karte hain
Har ek baat mein matlab hazar hote hain
Yeh seedhe saadhe bade hoshiyar hote hain

Kuda bachaye haseeno ki tez chalon se
Pade kisi ka bhi pala na husn walon se

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne

Husn walon mein mohabbat ki kami hoti hai
Chahne walon ki taqdeer buri hoti hai
Unki baaton mein banawat hi banawat dekhi
Sharm aankhon mein
Nigahon mein lagawat dekhi
Aag pahle to mohabbat ki laga dete hain
Apne rukhsar ka deewana bana dete hain
Dosti kar ke phir anjaan nazar aate hain
Sach to yeh hai ki beimaan nazar aate hain
Maut se kam nahi duniya mein mohabbat inki
Zindagi hoti hai barbaad badaulat inki

Din bahaaron ke guzarte hain magar mar marke
Lut gaye hum to haseeno pe bharosa kar ke

Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne
Hamein to loot liya milke husn walon ne
Kale kale baalon ne gore gore gaalon ne