Hai Isi Mein Pyaar Ki Aabru Lyrics - Anpadh
Hai Isi Mein Pyaar Ki Aabru song belongs to the Mohan Kumar's film Anpadh starring Dharmendra, Mala Sinha, Balraj Sahni and Bindu. Hai Isi Mein Pyaar Ki Aabru Lyrics are penned by Raja Mehdi Ali Khan while this track is sung by Lata Mangeshkar. Anpadh is a 1962 Hindi movie starring Dharmendra, Mala Sinha and Balraj Sahni.
Hai Isi Mein Pyaar Ki Aabru Song Detail
Song: Hai Isi Mein Pyaar Ki Aabru
Album: Anpadh (1962)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Madan Mohan
Lyricist: Raja Mehdi Ali Khan
Star Cast: Dharmendra, Mala Sinha, Balraj Sahni etc.
Hai Isi Mein Pyaar Ki Aabru Lyrics
Hai isi mein pyar ki aabru
Woh jafa karein main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahein ke main kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabru
Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez hai..
Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez hai
Ke unhi ki di hui cheez hai
Ise kaise dil se juda karoon
Hai isi mein pyar ki aabru
Jo na ban sake main woh baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon..
Jo na ban sake main woh baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon
Yeh likha hai mere naseeb mein
Yunhi shamma banke jala karoon
Hai isi mein pyar ki aabru
Na kisi ke dil ki hoon aarzoo
Na kisi ki nazar ki hoon justjoo..
Na kisi ke dil ki hoon aarzoo
Na kisi ki nazar ki hoon justjoo
Na kisi ki nazar ki hoon justjoo
Main woh phool hoon jo udaas ho
Na bahaar aaye to kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabru
Woh jafa karein main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahein ke main kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabru