Gaya Bachpan Jo Aayi Jawani Lyrics - Aankhon Aankhon Mein


Gaya Bachpan Jo Aayi Jawani song belongs to the Raghunath Jhalani's film Aankhon Aankhon Mein starring Rakesh Roshan, Rakhee, Raj Mehra and Tarun Bose. Gaya Bachpan Jo Aayi Jawani Lyrics are penned by Verma Malik while this track is sung by Lata Mangeshkar. Aankhon Aankhon Mein is a 1972 Hindi movie starring Rakesh Roshan, Rakhee and Raj Mehra.

Gaya Bachpan Jo Aayi Jawani Lyrics - Aankhon Aankhon Mein

Gaya Bachpan Jo Aayi Jawani Song Detail


Song: Gaya Bachpan Jo Aayi Jawani
Album: Aankhon Aankhon Mein (1972)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Shankar, Jaikishan
Lyricist: Verma Malik
Star Cast: Rakesh Roshan, Rakhee, Raj Mehra etc.

Gaya Bachpan Jo Aayi Jawani Lyrics

Gaya bachpan jo aayi jawani
To chunri patang ho gayi
Gaya bachpan jo aayi jawani
To chunri patang ho gayi
Aisi palkon mein
Aisi palkon mein chhayi jo masti
Tabiyat malang ho gayi
Aisi palkon mein chhayi jo masti
Tabiyat malang ho gayi
Gaya bachpan

Hirni ki chaal bas gayi meri chaal mein
Haan haan oho, haan haan oho
Hirni ki chaal bas gayi meri chaal mein
Do ghaz lambi ho gayi ek saal mein
Do ghaz lambi ho gayi ek saal mein
Dede bachpan
Dede bachpan tu lele jawani
Jawani se main tang ho gayi
Dede bachpan tu lele jawani
Jawani se main tang ho gayi
Gaya bachpan jo aayi jawani
To chunri patang ho gayi Gaya bachpan

Dekha jo tujhko uthi aisi halchal
Lala lala lala
Dekha jo tujhko uthi aisi halchal
Mujhse lipat gaya besharam aanchal
Mujhse lipat gaya besharam aanchal
Mere hothon ki
Mere hothon ki surkhi machal ke
Chunariya ka rang ho gayi
Mere hothon ki surkhi machal ke
Chunariya ka rang ho gayi
Gaya bachpan jo aayi jawani
To chunri patang ho gayi
Gaya bachpan

Dil waale baithe meri raahein gher ke
Haan haan oho, haan haan oho
Dil waale baithe meri raahein gher ke
Ruk jaayein wahin jahan dekhun munh pher ke
Ruk jaayein wahin jahan dekhun munh pher ke
Kisi babu se, angreji babu se
Kisi babu se mil gayin jo ankhiyan
To ankhiyon ki jang ho gayi
Kisi babu se mil gayin jo ankhiyan
To ankhiyon ki jang ho gayi
Gaya bachpan jo aayi jawani
To chunri patang ho gayi
Aisi palkon mein chhayi jo masti
Tabiyat malang ho gayi
Gaya bachpan