Fauji Gaya Jab Gaon Mein Lyrics - Aakraman


Fauji Gaya Jab Gaon Mein Lyrics from Aakraman is Hindi song sung by Kishore Kumar. Fauji Gaya Jab Gaon Mein song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Laxmikant and Pyarelal. Aakraman is a 1975 Hindi movie starring Sanjeev Kumar, Rekha and Asrani.

Fauji Gaya Jab Gaon Mein Lyrics - Aakraman

Fauji Gaya Jab Gaon Mein Song Detail


Song: Fauji Gaya Jab Gaon Mein
Album: Aakraman (1975)
Singer: Kishore Kumar
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Sanjeev Kumar, Rekha, Asrani etc.

Fauji Gaya Jab Gaon Mein Lyrics

Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Pehan ke rangroot
Full boot paon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein

Pehle logon ne rakha tha
Mera naam nikhattu

Pehle logon ne rakha tha
Mera naam nikhattu
Oye do din mein jag aise ghooma
Jaise ghoome lattu ho lattu

Bharti ho kar karnaila
Karnail Singh ban baitha
Mera bapu saath mere
Jarnail Singh ban baitha
Aate dekha mujhko to
Sab karne lage salami
Aage peechhe daude
Chacha chachi mama mami haan

Yaaron ne samaan utha kar
Rakha apne sar pe
Yaaron ne samaan utha kar
Rakha apne sar pe
Darwaze par baithe the sab
Jab main pahuncha ghar pe

Kas kar poore zor se phir
Maine salute jo maara
Sabki chhutti ho gayi phir maine
Boot se boot jo maara
Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein

Ghar ke andar jakar phir jab
Maine khola baksa
Ghar ke andar jakar phir jab
Maine khola baksa
Haaye dekh rahe the sab yoon jaise
Dekhein jag nasha ho nasha

Sabko tha maalum khulegi
Shaam ko rum ki botal
Sabko tha maalum khulegi
Shaam ko rum ki botal
Sab aa baithe ghar mere
Ghar mera ban gaya hotel

Beech mein baitha tha main
Sab baithe the aaju baaju
Itne mein bandook chali bhai
Gaon mein aaye daaku haan

Utar gayi thi sabki chhup gaye
Saare dar ke maare
Utar gayi thi sabki chhup gaye
Saare dar ke maare
Main ghar se baahar nikla
Sab mera naam pukarein
Maar ke laathi zameen pe jatt ne
Dakuon ko lalkara
Woh the char akela main
Maine charon ko maara

Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein

Chhod ke apne ghode
Daaku jaan bacha kar bhaage
Chhod ke apne ghode
Daaku jaan bacha kar bhaage
Meri wah wah karte subah
Neend se loki jaage

Main kheton ki sair ko nikla
Mausam tha mastaana
Raste mein woh mili mera tha
Jis'se ishq purana
Jis'se ishq purana

Khoob sune aur khoob sunaye
Kisse agle pichhle
Haye khoob sune aur khoob sunaye
Kisse agle pichhle
Nikla chaand to hum dono bhi
Khet se baahar nikle haaye haaye
Mach gaya shor saare gaon mein

Fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein
Ho fauji gaya jab gaon mein
Fauji gaya jab gaon mein