Dushman Na Kare Dost Ne Wo Lyrics - Aakhir Kyon


Dushman Na Kare Dost Ne Wo Lyrics from Aakhir Kyon is sung by Lata Mangeshkar and Amit Kumar and written by Indeevar. Music of Dushman Na Kare Dost Ne Wo is composed by Rajesh Roshan. Aakhir Kyon is a 1985 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Smita Patil and Rakesh Roshan.

Dushman Na Kare Dost Ne Wo Lyrics - Aakhir Kyon

Dushman Na Kare Dost Ne Wo Song Detail


Song: Dushman Na Kare Dost Ne Wo
Album: Aakhir Kyon (1985)
Singer: Lata Mangeshkar, Amit Kumar
Musician: Rajesh Roshan
Lyricist: Indeevar
Star Cast: Rajesh Khanna, Smita Patil, Rakesh Roshan etc.

Dushman Na Kare Dost Ne Wo Lyrics

Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai

Toofan mein humko chhod ke saahil pe aa gaye
Toofan mein humko chhod ke saahil pe aa gaye
Saahil pe aa gaye
Na Khuda ka!
Na Khuda ka humne inhein naam diya hai

Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare

Pehle to hosh chheen liye zulm-o-sitam se
Pehle to hosh chheen liye zulm-o-sitam se
Zulm-o-sitam se
Deewanagi ka
Deewanagi ka phir hamein ilzam diya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare

Apne hi giraate hain nasheman pe bijliyan
Apne hi giraate hain nasheman pe bijliyan
Nasheman pe bijliyan Ghairon ne aake
Ghairon ne aake phir bhi use thaam liya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare

Bankar raqeeb baithe hain wo jo habeeb the
Bankar raqeeb baithe hain wo jo habeeb the
Wo jo habeeb the
Yaaron ne khoob
Yaaron ne khoob farz ko anjaam diya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai
Dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
Umra bhar ka gham hamein inaam diya hai