Door Koi Gaye Dhun Ye Sunaye Lyrics - Baiju Bawra


Door Koi Gaye Dhun Ye Sunaye Lyrics from the movie Baiju Bawra is sung by Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar and Shamshad Begum, its music is composed by Naushad and lyrics are written by Shakeel Badayuni. Baiju Bawra is a 1952 Hindi movie starring Bharat Bhushan, Meena Kumari and B M Vyas.

Door Koi Gaye Dhun Ye Sunaye Lyrics - Baiju Bawra

Door Koi Gaye Dhun Ye Sunaye Song Detail


Song: Door Koi Gaye Dhun Ye Sunaye
Album: Baiju Bawra (1952)
Singer: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar, Shamshad Begum
Musician: Naushad
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Bharat Bhushan, Meena Kumari, B M Vyas etc.

Door Koi Gaye Dhun Ye Sunaye Lyrics

Door koi gaye dhun ye sunaye
Tere bin chhaliya re baje na muraliya re
Ho ji ho, door koi gaye dhun ye sunaye
Tere bin chhaliya re baje na muraliya re

Man ke andar ho pyar ki agni
Ho man ke andar pyar ki agni
Naina khoye-khoye
Ke arre Rama naina khoye-khoye
Arre Rama naina khoye-khoye
Ho abhi se hai yeh haal ho

Abhi se hai yeh haal to aage
Na jaane kya hoye
Ke arre Rama na jaane kya hoye
Neend nahi aaye, birha sataaye
Tere bin chhaliya re baje na muraliya re
Ho ji ho, door koi gaye dhun ye sunaye
Tere bin chhaliya re baje na muraliya re

Ho more angna laaj ka pehra
Laaj ka pehra, Rama laaj ka pehra
Paanv padi zanjeer
Ke arre Rama paanv padi zanjeer ho
Yaad kisi ki jab-jab aaye Laage jiya pe teer
Yaad kisi ki jab-jab aaye
Laage dil pe teer
Ke arre Rama laage dil pe teer
Aankh bhar aaye, jal barsaaye
Tere bin chhaliya re baje na muraliya re
Ho ji ho, door koi gaye dhun ye sunaye
Tere bin chhaliya re baje na muraliya re