Dont Take Tension Lyrics - Ata Pata Lapata


Don't Take Tension lyrics: This is the excellent song of Dara Singh, Asrani, Rajpal Yadav and Ashutosh Rana starrer Ata Pata Lapata. This song is sung by Raghubir Yadav. Ata Pata Lapata is a 2012 Hindi movie starring Dara Singh, Asrani and Rajpal Yadav.

Dont Take Tension Lyrics - Ata Pata Lapata

Dont Take Tension Song Detail


Song: Dont Take Tension
Album: Ata Pata Lapata (2012)
Singer: Raghubir Yadav
Star Cast: Dara Singh, Asrani, Rajpal Yadav etc.

Dont Take Tension Lyrics

Adalat ki chaukhat par desh ki paltan hai
Khoob chakallas hai, thoda sa tashan hai
Ek kahani suno uska hissa bano
Iske kirdaar tum iske kirdaar hum
Haalat hain khinche tane
Phir bhi niyantran hai
Par don't take tension sab tana-tan hai
Par don't take tension sab tana-tan hai

Chori hua manav ka dwarika sadan hai
Izzat nagar ki izzat pe gayi ban hai

Kagazi makan khwab nange badan hain
Izzat ki padi kisko khud mein hi sab magan hain
Par don't take tension sab tana-tan hai
Par don't take tension sab tana-tan hai
Par don't take

Mausam ka rukh badla
Sardi mein sookha pada
Sawan mein aag lagi
Barish mein phoota ghada
Garmi mein khoob jam ke
Ho rahi thithuran hai
Par don't take tension sab tana-tan hai Tana-tan hai tana-tan tana-tan hai

Khaki ka rang udaa
Khadi ka dhang udaa
Kala to kala woh rang hi badrang hai
Moron ki nagri mein mein choron ka sangam hai
Don't take tension sab tana-tan hai
Par don't take tension sab tana-tan hai

Gawahon ke jungal
Netaaon ke dangal hain
Mangal nahi sab ho raha amangal hai
Wakeelon ki baaton ke latth danaadan hain
Par don't take tension sab tana-tan hai
Par don't take tension sab tana-tan hai

Kenchi badhkar zubanein chali hain
Baalon ki khaalon ki khaalein chhili hain
Waadi pratiwaadi langota kase hain
Ab kiske haq mein ab kiske haq mein dekhoon
Ho na decision, haaye don't take
Par don't take tension sab hi tana-tan hai, tana-tan
Don't take tension sab hi tana-tan hai
Par don't take tension sab tana-tan hai
Par don't take tension sab tana-tan hai
Don't take tension sab hi tana-tan hai

More Lyrics From Ata Pata Lapata