Chingari Koi Bhadke Lyrics - Amar Prem


Chingari Koi Bhadke Lyrics from Amar Prem: This is a very well sung song by Kishore Kumar with nicely composed music by R D Burman. Lyrics of Chingari Koi Bhadke are beautifully penned by Anand Bakshi. Amar Prem is a 1972 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Sharmila Tagore and Madan Puri.

Chingari Koi Bhadke Lyrics - Amar Prem

Chingari Koi Bhadke Song Detail


Song: Chingari Koi Bhadke
Album: Amar Prem (1972)
Singer: Kishore Kumar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Sharmila Tagore, Madan Puri etc.

Chingari Koi Bhadke Lyrics

Chingari koi bhadke
Chingari koi bhadke
To sawan use bujhaaye
Sawan jo agan lagaaye
Use kaun bujhaaye
Ho use kaun bujhaaye

Patjhad jo baag ujaade
Woh baag bahaar khilaaye
Jo baag bahaar mein ujade
Use kaun khilaaye

Ho use kaun khilaaye

Humse mat poochho kaise
Mandir toota sapno ka
Humse mat poochho kaise
Mandir toota sapno ka
Logon ki baat nahin hai
Yeh kissa hai apno ka
Koi dushman tthes lagaaye
To meet jiya behlaaye
Man meet jo ghaav lagaaye
Use kaun mitaaye

Na jaane kya ho jata Jaane hum kya kar jaate
Na jaane kya ho jata
Jaane hum kya kar jaate
Peete hain to zinda hain
Na peete to mar jaate
Duniya jo pyaasa rakkhe
To madira pyaas bujhaaye
Madira jo pyaas lagaaye
Use kaun bujhaaye
Ho use kaun bujhaaye

Mana toofan ke aage
Nahin chalta zor kisi ka
Mana toofan ke aage
Nahin chalta zor kisi ka
Maujon ka dosh nahin hai
Yeh dosh hai aur kisi ka
Majdhaar mein naiya dole
To maajhi paar lagaaye
Maajhi jo naav duboye
Use kaun bachaaye
Ho use kaun bachaaye
Chingari koi bhadke