Baawra Lyrics - Kill Dil : Shankar, Nihira


Baawra Lyrics from the movie Kill Dil is sung by Shankar Mahadevan & Nihira Joshi, its music is composed by Shankar Ehsaan Loy and lyrics are written by Gulzar. Kill Dil is a 2014 Hindi movie starring Ranveer Singh, Ali Zafar and Parineeti Chopra.

Baawra Lyrics - Kill Dil : Shankar, Nihira

Baawra Song Detail


Song: Baawra
Album: Kill Dil (2014)
Singer: Shankar Mahadevan, Nihira Joshi
Musician: Shankar Ehsaan Loy
Lyricist: Gulzar
Star Cast: Ranveer Singh, Ali Zafar, Parineeti Chopra etc.

Baawra Lyrics

Koi atka hua hai pal shayad
Waqt mein pad gaya hai bal shayad
Dil agar hai to dard bhi hoga
Iska koi nahi hai hal shayad

Bujh gaye taare ho yaara
Aasman kaala lage re
Kuchh bhi nazar na aave
Ankhiyan mein jaala lage re
Dil waali naukri ne mara
O yaara dil waali naukri ne mara

O meetha lage ab bhi woh yaaron
Dardon ki tokri utaro
Dil waali naukri ne mara
O yaara dil waali naukri ne mara
Sweeta o sweeta tere bin
Koyalon se kaale, kaale huye din
Tere bin, tere bin, tere bin

O zindagi uljha hua sauda hai
Umra yeh leta hai ek pal de kar
Main baawra, baanwra, main baawra
Zindagi uljha hua sauda hai
Umra yeh leta hai ek pal de kar Main baawra, banwara, main baawra

Ho marne se mujhe koi dar to nahi
Haan tere bin mushkil hogi
Jeena bhi pade to bhi mujhko
Haan tere bin mushkil hogi
Seene mein ishq ka ik bujha sa diya
Zindagi uljha hua sauda hai
Umra yeh leta hai ek pal de kar
Main baawra, banwra, main baawra

[Sargam vocals]

Shaam hai to shaam sahi
Raat naa hone dena
Aas ki saans chalti rahe
Maut na hone dena
Jin aankhon ne neend nahi hai
Un aankhon mein khwaab tha koi
Khwaab woh khwaab tum khone na dena
Baawra, baanwara, baawra
Zindagi uljha hua sauda hai
Umra yeh leta hai ek pal de kar
Main baawra, baanwara, main baawra
Zindagi uljha hua sauda hai
Umra yeh leta hai ek pal de kar
Yeh dil baawra, banwara, dil baawra