Baabul Ka Yeh Ghar Gori Lyrics - Daata


Baabul Ka Yeh Ghar Gori Lyrics from the movie Daata is sung by Alka Yagnik and Kishore Kumar, its music is composed by Kalyanji and Anandji and lyrics are written by Anjaan. Daata is a 1989 Hindi movie starring Mithun Chakraborty, Padmini Kolhapure and Prem Chopra.

Baabul Ka Yeh Ghar Gori Lyrics - Daata

Baabul Ka Yeh Ghar Gori Song Detail


Song: Baabul Ka Yeh Ghar Gori
Album: Daata (1989)
Singer: Alka Yagnik, Kishore Kumar
Musician: Kalyanji, Anandji
Lyricist: Anjaan
Star Cast: Mithun Chakraborty, Padmini Kolhapure, Prem Chopra etc.

Baabul Ka Yeh Ghar Gori Lyrics

Baabul ka yeh ghar behna
Kuchh din ka thikana hai
Baabul ka yeh ghar gori
Kuchh din ka thikana hai
Banke dulhan ek din
Tujhe piya ghar jana hai
Banke dulhan ek din
Tujhe piya ghar jana hai
Baabul ka yeh ghar gori
Kuchh din ka thikana hai

Baabul tere bagiya ki
Main to woh kali hoon
Ho baabul tere bagiya ki
Main to woh kali hoon
Chhod teri bagiya mujhe
Ghar piya ka sajana hai
Kyun chhod teri bagiya mujhe
Ghar piya ka sajana hai

Beti ghar baabul ke
Kisi aur ki amaanat hai
Beti ghar baabul ke
Kisi aur ki amaanat hai Dastoor yeh duniya ka
Hum sab ko nibhana hai
Haan yeh dastoor yeh duniya ka
Hum sab ko nibhana hai
Baabul ka yeh ghar gori
Kuchh din ka thikana hai

Maiya tere aanchal ki
Main hoon kaisi gudiya re
Maiya tere aanchal ki
Main hoon kaisi gudiya re
Toone mujhe janam diya
Tera ghar kyun beghana hai
Maiya toone mujhe janam diya
Tera ghar kyun beghana hai
Phir kyon is aanchal ko chhod
Tera ghar bhi begana hai

Maiya pe kya beet rahi
Behna tu yeh kya jaane
Maiya pe kya beet rahi
Behna tu yeh kya jaane
Kaleje ke tukde ko
Ro ro kar bhulanaa hai
Kaleje ke tukde ko
Ro ro kar bhulanaa hai
Baabul ka yeh ghar gori
Kuchh din ka thikana hai

Bhaiya tere angna ki
Main hoon aisi chidiyaa re
O bhaiya tere angna ki
Main hoon aisi chidiyaa re
Raat bhar basera hai
Subah udd jana hai
Raat bhar basera hai
Subah udd jana hai

Yaadein tere bachpan ki
Hum sab ko rulaayengi
Phir bhi teri doli ko
Kandha to lagana hai
Behna teri doli ko
Kandha to lagana hai

Baabul ka yeh ghar gori
Kuchh din ka thikana hai
Banke dulhan ek din
Tujhe piya ghar jana hai
Baabul ka yeh ghar gori
Kuchh din ka thikana hai
Banke dulhan ek din
Tujhe piya ghar jana hai