Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyaari Hai Lyrics - Suhaag


Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyari Hai Lyrics from the movie Suhaag is sung by Mohammad Rafi, Asha Bhosle and Shailendra Singh, its music is composed by Laxmikant and Pyarelal and lyrics are written by Anand Bakshi. Suhaag is a 1979 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Rekha and Shashi Kapoor.

Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyaari Hai Lyrics - Suhaag

Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyari Hai Song Detail


Song: Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyari Hai
Album: Suhaag (1979)
Singer: Mohammad Rafi, Asha Bhosle, Shailendra Singh
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Amitabh Bachchan, Rekha, Shashi Kapoor etc.

Aye Yaar Sun Yaari Teri Mujhe Zindagi Se Bhi Pyari Hai Lyrics

Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Jawab ich nahi hamara kahin
Badi khoob jodi hamari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai

Kya dekhta hoon main, kab dekhta hoon
Kya dekhta hoon main, kab dekhta hoon
Teri nazar se main sab dekhta hoon
Teri kasam yeh hath hain mere magar
In hathon mein taaqat tumhari hai

Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai

Dil mein lagaai hai tasveer teri
Dil mein lagaai hai tasveer teri
Tera nasiba hai taqdeer meri
Tum donon ne jo kuchh kaha maine suna
Magar ab suno meri baari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai

Humse jo ulajhe woh hoga deewana
Humse jo ulajhe woh hoga deewana
Awaaz tu de main baandhoon nishana
Udte huye panchhi ke par hum kaat lein
Ke main jaal hoon tu shikari hai Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai

Hum hain jawani ke din-raat jaise
Hum hain jawani ke din-raat jaise
Lagta hai bachpan se hain sath jaise
Dil yaar ka, jaan yaar ki, apna hai kya
Yeh vardi bhi to sarkaari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai
Jawab ich nahi hamara kahin
Badi khoob jodi hamari hai
Aye yaar sun yaari teri mujhe zindagi se bhi pyari hai