Aansoo Samajh Ke Kyon Mujhe Lyrics - Chhaya


Aansoo Samajh Ke Kyon Mujhe song belongs to the Hrishikesh Mukherjee's film Chhaya starring Sunil Dutt, Asha Parekh, Nirupa Roy and Nasir Hussain. Aansoo Samajh Ke Kyon Mujhe Lyrics are penned by Rajinder Krishan while this track is sung by Talat Mehmood. Chhaya is a 1961 Hindi movie starring Sunil Dutt, Asha Parekh and Nirupa Roy.

Aansoo Samajh Ke Kyon Mujhe Lyrics - Chhaya

Aansoo Samajh Ke Kyon Mujhe Song Detail


Song: Aansoo Samajh Ke Kyon Mujhe
Album: Chhaya (1961)
Singer: Talat Mehmood
Musician: Salil Choudhary
Lyricist: Rajinder Krishan
Star Cast: Sunil Dutt, Asha Parekh, Nirupa Roy etc.

Aansoo Samajh Ke Kyon Mujhe Lyrics

Aansoo samajh ke kyon mujhe
Aankh se tumne gira diya
Moti kisi ke pyaar ka
Mitti mein kyon mila diya
Aansoo samajh ke kyon mujhe

Jo na chaman mein khil saka
Main woh gareeb phool hoon
Jo na chaman mein khil saka
Main woh gareeb phool hoon
Jo kuchh bhi hoon bahaar ki

Chhoti si ek bhool hoon
Jisne khila ke khud mujhe
Khud hi mujhe bhula diya
Aansoo samajh ke kyon mujhe
Aankh se tumne gira diya
Aansoo samajh ke kyon mujhe

Nagma hoon kab magar mujhe
Apne pe koi naaz tha
Nagma hoon kab magar mujhe
Apne pe koi naaz tha
Gaaya gaya hoon jis pe main
Toota hua woh saaz tha Jisne suna woh hans diya
Hans ke mujhe rula diya
Aansoo samajh ke kyon mujhe
Aankh se tumne gira diya
Aansoo samajh ke kyon mujhe

Meri khata maaf main
Bhoole se aa gaya yahaan
Meri khata maaf main
Bhoole se aa gaya yahaan
Warna mujhe bhi hai khabar
Mera nahin hai yeh jahan
Doob chala tha neend mein
Achchha kiya jaga diya
Aansoo samajh ke kyon mujhe
Aankh se tumne gira diya
Moti kisi ke pyaar ka
Mitti mein kyon mila diya
Aansoo samajh ke kyon mujhe