Aaj Kal Ki Ladkiyan Kamal Karti Hain Lyrics - Chal Mere Bhai


Aaj Kal Ki Ladkiyan Kamal Karti Hain lyrics of Chal Mere Bhai (2000): This is a lovely song from Chal Mere Bhai starring Sanjay Dutt, Salman Khan, Karisma Kapoor and Sushma Seth. It is sung by Vinod Rathod, Sonu Nigam, Poornima and Vaijanti and composed by Anand and Milind. Chal Mere Bhai is a 2000 Hindi movie starring Sanjay Dutt, Salman Khan and Karisma Kapoor.

Aaj Kal Ki Ladkiyan Kamal Karti Hain Lyrics - Chal Mere Bhai

Aaj Kal Ki Ladkiyan Song Detail


Song: Aaj Kal Ki Ladkiyan
Album: Chal Mere Bhai (2000)
Singer: Vinod Rathod, Sonu Nigam, Poornima, Vaijanti
Musician: Anand, Milind
Lyricist: Sameer
Star Cast: Sanjay Dutt, Salman Khan, Karisma Kapoor etc.

Aaj Kal Ki Ladkiyan Lyrics

Aaj kal ki ladkiyan kamal karti hain
Oye aaj kal ki ladkiyan kamal karti hain
Kisi ko dil mein rakhti hain
He kisi ko dil mein rakhti hain
Kisi pe marti hain

Aaj kal ke ladke bhi kamal karte hain
Aaj kal ke ladke bhi kamal karte hain
Dekh ke kisi bhi ladki ko haye
Aah bharte hain

Aaj kal ki ladkiyan kamal karti hain

Aaj kal ke ladke bhi kamal karte hain

Ek to hain yeh teekhi lauki, uspe neem chadhi haye
Uspe neem chadhi
Kad iska chhota hai lekin karti baat badi
[Aaha ta na na] x 4

Mujhe pata hai darta hai yeh teetar aur bater se
Teetar aur bater se
Humse kehta hai yeh lad jaayega jaa ke sher se
[Aaha ta na na] x 4

Iska chehra thoda thoda milta hai Salman se
Khud ko hero samjhe na yeh keh do is naadan se
Oonchi oonchi sandle uspe pehan ke kaala chashma Bane heroin samjhe dekho khud ko yeh Karishma

Aaj kal ki titliyan kamal karti hain
Aaj kal ki titliyan kamal karti hain
Arre kisi ko dil mein rakhti hain
Kisi pe marti hain

Aaj kal ki ladkiyan kamal karti hain
Aaj kal ke ladke bhi kamal karte hain

Dekho yaaron ik bandariya chale hans ki chaal
Chale hans ki chaal
Gana aur bajana chaahe na samjhe sur taal
[Aaha ta na na] x 4

Mile jise na woh kehta hai khatta hai angoor
Khatta hai angoor
Aise ladkon se to aksar rehti hoon main door
[Aaha ta na na] x 4

Har ladki mujhko chaahe mujh mein hai aisi baat
Dekh dekh ke mujhko jalti hai yeh to din raat
Chal mere bhai panga na le is se tu bekaar mein
Kahin lipat jaayega ja ke is bijli ke taar mein

Aaj kal ki bijliyan kamal karti hain
Hoye aaj kal ki bijliyan kamal karti hain
Kisi ko dil mein rakhti hain
Oye kisi pe marti hain

Aaj kal ki ladkiyan kamal karti hain
Aaj kal ke ladke bhi kamal karte hain

Phoolon ke ras mein nahayi hai
Taaron ki duniya se aayi hai
Roop suhana tu paayi hai
Sabke dilon par chhaayi hai

Tu jis ghar mein jaaiegi
Saare andhere mitaayegi
Khushiyon ke deep jalaayegi
Sabka naseeb jagaayegi

Ae ae
Aaj kal ki chhoriyan kamal karti hain
Haye aaj kal ki chhoriyan kamal karti hain
O kisi ko dil mein rakhti hain
Kisi ko dil mein rakhti hain
Kisi pe marti hain

Aaj kal ki ladkiyan kamal karti hain
Aaj kal ke ladke bhi kamal karte hain