Aag Hai Lagi Hui Har Taraf Yahan Wahan Lyrics - Swarg Narak

Aag Hai Lagi Hui Har Taraf Yahan Wahan Lyrics from Swarg Narak (1978): This is a lovely song from Swarg Narak starring Sanjeev Kumar, Jeetendra, Vinod Mehra and Moushumi Chatterjee. It is sung by Mohammad Rafi and composed by Rajesh Roshan. Swarg Narak is a 1978 Hindi movie starring Sanjeev Kumar, Jeetendra and Vinod Mehra.

Aag Hai Lagi Hui Har Taraf Yahan Wahan Lyrics - Swarg Narak

Aag Hai Lagi Hui Har Taraf Yahan Wahan Song Detail

Song: Aag Hai Lagi Hui Har Taraf Yahan Wahan
Album: Swarg Narak (1978)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Rajesh Roshan
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Sanjeev Kumar, Jeetendra, Vinod Mehra etc.

Aag Hai Lagi Hui Har Taraf Yahan Wahan Lyrics

Aag hai lagi hui
Aag hai lagi hui har taraf yahan wahan
Jal rahi hai yeh zamin, jal raha hai asmaan
Aag hai lagi hui har taraf yahan wahan
Jal rahi hai yeh zamin, jal raha hai asmaan
Aag hai lagi hui

Dil kya hai!
Kanch ka khilona hai, sapna ek salona hai
Dil bada nazuk hai yeh, toot na jaaye kahin
Khelte hain dil se jo yeh khabar unko nahin

Dil bada nazuk hai yeh, toot na jaaye kahin
Khelte hain dil se jo yeh khabar unko nahin
Dil gaya to kya raha, dil ke sath hai jahan
Jal rahi hai yeh zamin, jal raha hai asmaan
Aag hai lagi hui

Cheez kya hai pyar ye
Ik dawa hai yaar yeh
Yeh dawa kabhi kabhi gham ka jaam ban gayi
Zindagi ki har subah ek shaam ban gayi
Roshni chali gayi
Roshni chali gayi reh gaya dhuan dhuan
Jal rahi hai yeh zamin, jal raha hai asmaan

Dor toot jaati hai, jode gaanth aati hai
Shaadi aur byah hai rishta aitbar ka
Saat janam ke waaste ek vaada pyar ka
Shaadi aur byah hai rishta aitbar ka
Saat janam ke waaste ek vaada pyar ka
Ek pal mein ho gaye
Ek pal mein ho gaye phir bhi log badguman